Sunday, June 14, 2015

Second Terminal

Aawazen kuchh sunaai de rahi hain
shayad tum yahi par ho

Hawa thandi si tan ko sehla rahi hai
shayad tum yahi par ho

Blinking cursor jaisa mera ye dil kehta hai
shayad tum yahi par ho

Mana hame mile kaafi waqt hua aaj,
par hawa me tere deo ki khushbu kehti hai
shayad tum yahi par ho

Yaad hai wo pal jab aaya tha error
Download failed due to unrecognized mirror

Try kiya tumne phir run karne ka program
Nahi hua lekin samasya ka samadhaan

Frustration ka chhaya phir kaala sa saya
Uth ke tumne phir control, shift T dabaya

Kho gaya mai andhero me aashayen man me liye
Pata hai mujhe tum aaoge ekdin mere liye

Din ho gaye kaafi shayad nahi milenge hum
Dheere dheere teri memory se bhi mit jayenge hum

Lagta hai ab zaroorat poori ho gayi hai hamari
Garbage collection ki hamne bhi kar li hai tayyari

Pata hai hume ki man ko ateet me le jaoge kabhi
Un galiyon me sair karte huye hame mil jaoge kabhi

Do baatein keh ke, do kadam saath chal ke
Laut jana waapis sagar ki owr

Miti miti si yaadon ko pyaas bhar ke peene do
Kheech lena phir tum itihaas ki dor

Himmat hai abhi baaki ki intezaar kare tera
Sansen chalengi ye waada hai mera

Prakash thoda dikh raha hai, geet koi likh raha hai
Yellow si light me tumhaare joint ka dhuan dikh raha hai
shayad tum yahi par ho


Baarish

Galti hai teri nazaron ki jo badalon ko sharminda karti hai
Unke dil me khud sa banne ki chahato ko zinda karti hai

Surkh syah sa, krishna ke tan jaisa karp swaroop
aas paas mandraati, athkheliyan leti naram dhoop

Parvat ki shikha pakad kar chori se chhup ke
nihaarta in naino ko, in jaisa banne ki chahat me

Kabhi aage kabhi peechhe hawa se jhagadte huye
waqt se mangta hai aur thoda waqt, guzarte huye

Kabhi lomdi sa niharta hua, kabhi singh sa dahadta hua
Kabhi khargosh sa bach ke uchhalta hua, dheemi chaal se pighalta hua

tere naino ki shama me parwaane ki tarah jalta hua
tere chehre ki ye muskaan paake khushi se uchhalta hua

Galti hai teri nazron ki par hum unhe maaf karte hain
Kyuki teri bheegi palken (alag hi daastan bayan karti hain) kehti hain ek aur hi kahani