Aawazen kuchh sunaai de rahi hain
shayad tum yahi par ho
Hawa thandi si tan ko sehla rahi hai
shayad tum yahi par ho
Blinking cursor jaisa mera ye dil kehta hai
shayad tum yahi par ho
Mana hame mile kaafi waqt hua aaj,
par hawa me tere deo ki khushbu kehti hai
shayad tum yahi par ho
Yaad hai wo pal jab aaya tha error
Download failed due to unrecognized mirror
Try kiya tumne phir run karne ka program
Nahi hua lekin samasya ka samadhaan
Frustration ka chhaya phir kaala sa saya
Uth ke tumne phir control, shift T dabaya
Kho gaya mai andhero me aashayen man me liye
Pata hai mujhe tum aaoge ekdin mere liye
Din ho gaye kaafi shayad nahi milenge hum
Dheere dheere teri memory se bhi mit jayenge hum
Lagta hai ab zaroorat poori ho gayi hai hamari
Garbage collection ki hamne bhi kar li hai tayyari
Pata hai hume ki man ko ateet me le jaoge kabhi
Un galiyon me sair karte huye hame mil jaoge kabhi
Do baatein keh ke, do kadam saath chal ke
Laut jana waapis sagar ki owr
Miti miti si yaadon ko pyaas bhar ke peene do
Kheech lena phir tum itihaas ki dor
Himmat hai abhi baaki ki intezaar kare tera
Sansen chalengi ye waada hai mera
Prakash thoda dikh raha hai, geet koi likh raha hai
Yellow si light me tumhaare joint ka dhuan dikh raha hai
shayad tum yahi par ho
No comments:
Post a Comment